Market Se Wealth Create karna itna asan kaam nahi hai. investment mistakes Jo New Investor karte hain.
1.) Stock Selection -: Do prakar ke stock hain ek trading wali doosri investment wali. Agar trading wale stock me investment karenge to kuch bhi return nahi kama payenge. Example - Tata Steel, Vedanta
2.) News Based investment -: Agar aap news sunkar investment karenge to bilkul loss me rahenge maximum time. Jaise Ethenol wali news ayi sugar stocks ke deewane ho gaye log. Sugar company ke business me MOAT nahi hai. Kisi bhi stock ne na return dia hai na dega. Chahe Jitna marji ethenol news aa Jaye return nahi milega. EV ki news ayi tata motors favourite ban gaya logon ka. But tata motors bhi investable company nahi hai.
3.) Bhagte hue stock me investment - Abhi ke time me PSU bank me aur Railway wale stock me khoob investment ho rahi hai. Doston ab kaise bolun pehle bhi nahi mila tha aage bhi nahi milega return. Cyclical stock hai upar Jayega cycle end ho hoga stock salon tak soya rahega. Aap pareshan hokar loss me bechenge ya aapka time waste hoga.
4.) Business nahi Samajhna - : Doston Stock analysis social media ke haseen kahaniyon ke adhar par nahi hota hai. Bahut he dynamic hota hai analysis aisa nahi hai ki number dekh lia ho gaya. Bahut sare factors hote hain. Jayada likhunga to lamba ho Jayega. Company ka cash flow bahut important hota hai and Company Jo cash kamati hai usko kaise reinvest karti hai business me wo important hai.
Example - ITC cash kamati hai lekin reinvest nahi kar pati hai islia return bhi fd jaise milta hai.
Haseen Kahaniyon par nahi fact based investment karia, kal ka market kya hoga aise sawal majak se Jayada kuch nahi hai. Aap sochia 5 saal baad market kahan ho sakta hai uski sambhavna talash he aisi chij hai Jo muft ki sab dete hain , waise Aaj kuch log paise bhi lete hain lekin salah kaise logon ki leni hai wo aapko samajhna chahia. Paisa bahut mushkil se kamaya Jata hai , waste mat karia. Mere ko pata hai likh kar lamba lamba kuch nahi hoga kabhi kabhi lagta hai likh kar kya hoga but logon ke stock selection ko dekh kar dil hai ki manta nahi.
Note - : aap disagree kar sakte hain , maine Jo itne saal me practical experience kia hai market me wahi likha hun